-->
Digilocker kya hai aur Digilocker par account kaise banaye ?

Digilocker kya hai aur Digilocker par account kaise banaye ?

Digilocker kya hai aur Digilocker par account kaise banaye

Hello friends aaj hum janenge ki Digilocker kya hai aur sath hi hum yah bhi janenge ki kaise hum Digilocker  par account bana sakte hai aur digital suvidhaon ka laabh le sakten hain ! aur Digilocker  ko hum niche diye gaye steps me samjhte hain !



(1) Digilocker kya hai ?

Digilocker ek prakar ka online free cloud storage hai jise indian government ne digital india ke abhiyan ke  tahat chalay hai, Digilocker  par hum apne important document ko scan kar ke upload kar sakten hai, aur phir jarurat padne par duniya me kahi se bhi iska use le sakte hai,aur ye puri tarah secure hai, bus aapko digilocker ki site par jakar account banakar login karna hai aur phir aap bade aram se apne document ko access kar payenge. itna hi nahi agar aap aadhar card se digilocker par singup karte hai to aapne jis document ko banwane ke liye aadhar card diya hoga ya phir yu kahe ki jo bhi document aapne aadhar card se banwaya hoga ya jo document ki details aadhar card se match hoti ho to wo  document apko digilocker par login karne ke bad aasani se mil jayega hi mil jayega, jaise-pan cared, voter id card, ration card,10th aur 12th school marksheet etc.aur agar aapko ye document kisi bhejna hai to Digilocker me uploaded document ki link share karne ka bhi option hai jisse ki kisi ko bhi aap linke madad se document se bhej sakte hain  aapko us document ko download karne ki bhi jarurat nahi padegi.

(2) Digilocker  par account kaise banaye ?

(I) Digilocker par account banane ke liye sabse pahle google par Digilocker search kare aur me aaye  pahle link ko open karen, aur phir singup karen
Digilocker kya hai aur Digilocker par account kaise banaye

(II) Agar aapko aadhar kard se digilocker par account banana hai to aapko sign in par click karna hai. aur phir aadhar number dalkar  verify par click karne ke bad jo aadhar card me register mobile number par ek otp aayega jise dalkar verify kar ke sign in kar sakte hai aur agar aapke aadhar card me mobile number register nahi hai to aap apna mobile number dalkar bhi digilocker par account bana sakten hai. aap niche image me dekh sakten hai ki mobile number se aur aadhar card dono se kaise sign in kar sakten hain.


Digilocker kya hai aur Digilocker par account kaise banaye


Note Digilocker par sbhi suvidaho ka labh lene ke liye aadhar card se hi sign in kare !

(3) Digilocker ka use kaise karen ?

(i) Digilocker par apne document upload karne ke liye sabse pahle Digilocker ki site par jakar ya Digilocker  app me sign in karen, phir dashboard me jakar upload par click karke document upload kar sakten hai, jaisa ki aap niche image me bhi dekh sakten hain !
Digilocker kya hai aur Digilocker par account kaise banaye ?

******************************************************************************************************************
mai aasa karta hoon ki aapko ye jankari acchi lagi hogi aur aap samajh gaye honge ki Digilocker kya hai aur is par account kaise banate hai, agar aapka koi sawal ho Digilocker se related to aap comment karke puch sakte hain.

0 Response to "Digilocker kya hai aur Digilocker par account kaise banaye ?"

Post a Comment

Recent Comments

Latest Tips And Tricks