-->
Deleted Data Recover kaise Karen ?

Deleted Data Recover kaise Karen ?


Hello friends swagat hai aapka Aktechride me, dosto aaj ke post me hum janege ki Pendrive/Memory card/Hard drive, se Deleted data ko  kaise recover kar sakte hai,  Kai baar aisa Hota hai ki humari pendrive me ya memory card me virus aa jata hai jiske Karan humara data ko currpet ho jata hai aise me humare pass pendrive/memory card ko format karne ke alava Koi rasta nahi bachta hai. Kabhi Kabhi humari galti ke karan bhi humara Bahut important data delete ho jata hai aur tab humare man me yahi khyal aata hai ki kaas deleted data recover karne ka Koi tarika Hota,  to chaliye ki post me Aapko in sabhi sawalon ka jawab mil jayega, dosto iske liye aapke pass pc/laptop hona jaruri hai kyoki yah method Sirf pc/laptop me hi work karega

To dosto chaliye shuru karte hai,  iske liye aapko ek Software ki jarurat padegi jiska naam hai EaseUs data Recovery wizard, aap niche diye gaye link se ise download kar sakte hai, ye ek paid software hai, par ye software hume 500MB ka free trial deta hai.


Niche Diye Gaye Steps Follow Kare !

1). EaseUs Data Recovery Wizard Download  Karne Ke Bad Install Kar Le Aur Open Kare ! Ab Kis Type Ki File Aapse Delete Huaa Hai Wo Select Kar, Uske Bad  Next Par Click Kare 


2). Apni Drive Select Kare Jisme Se data Delete Huaa Hai Aur Scan Par Click Kare !


3).  Aapke Samne Sara Deleted Data Show Ho Jayega Ab Jo Aapko Recover Karna Hai Wo Selecet Kare Aur Recover Kar Le !

Note: Aap Apni Deleted File Name Se Bhi Search Kar Sakte Hai !


To Dosto Comment karke Jarur Bataye Ki Ye Post Aapko Kaisa Laga. Agar Aapka Koi Sawal Hai To Aap comment Karke Mujhse Puch Sakte Hai, Agar Aapko is Software Ka Activation Key Chahiye To Comment kar Sakte Hai !



1 Response to "Deleted Data Recover kaise Karen ? "

  1. Superbly written article, if only all bloggers offered the same content as you, the internet would be a far better place.. ανακτηση δεδομενων

    ReplyDelete

Recent Comments

Latest Tips And Tricks